Friday, October 10, 2008

desh ki naari

ek thi bharath desh ki naari... 
khani thi unko bhel poori...
kal tha kaam koi jaroori...
sochthi aaj hai aayi baari...

oud ke lambhi saari...
kitche mein jaake hath mein li katori..
karke abh poori tayari...
aakhir mein dali usme patthi hari...

[to be continued... ]

Wednesday, January 02, 2008

sabh kuch mana hai...

kya yaar... sabh kuch mana hai???
bottle bhar peena mana hai...
jee bhar sona mana hai...
pet bhar khana mana hai...
dil bhar dekhna mana hai... [u know what... don't u?]

raath bhar jaagna mana hai...
very late utna mana hai...
brush bina coffee mana hai..
nahaye bina breakfast mana hai...

office naa jaana mana hai..
gayatho udhar sona mana hai...
chote chote tea break mana hai...
dosthon se baathe mana hai...

login hua tho IM mana hai...
cricket score dekhna mana hai..
jaldi office se nikhalna mana hai...
ghar late aana mana hai...

beech mei ek dho beer mana hai...
ghar aaya tho tv mana hai...
monday tuesday chicken mana hai...
thurday tho poora khana mana hai...

kya yaar... sabh kuch mana hai???

paida hua tho rona mana hai...
classroom mein bolna mana hai..
baahar jaa ke khelna mana hai...
dosthon ke saath masthi mana hai...

high school aaya .. phir bhi peena mana hai..
do nahi tho... ek sahi..girlfriend mana hai..
balcony mein study mana hai...
baaju vali ladki ko ishaarein mana hai..

entrance exams do saal baad hai.. phir bhi aaj khelna mana hai..
are computers padane ke liye.. architecture mana hai..
phir bhi college jane ke liye bike mana hai...
chalo.. chodo.. bus mein gaya tho.. foot boarding mana hai..

combined study with friends [;)] .. mana hai...
phone pe baath karna bhi mana hai...
unke saath trips jaana manaa hai...
gaya tho phir paise waste karna mana hai..


are yaar... mana kar ke kar ke... kya bana diye hume..
padaa padaa ke.. ullu bana diya yaar.. :)