Saturday, July 30, 2011

Javed Akhtar - sublime

Javed Akhtar at his best in Zindagi Na Milega Dubara (courtesy: http://www.apunkachoice.com/content/article/sid100006079-zindagi_na_milegi_dobara_shayari/)



Tu Kyun Rota Hai

Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannaate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi namm hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai



Pighle Neelam Sa

Pighle neelam sa behta ye sama,
neeli neeli si khamoshiyan,
na kahin hai zameen na kahin aasmaan,
sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
keh raheen hai bas ek tum ho yahan,
bas main hoon, meri saansein hain aur meri dhadkanein,
aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan, aur main... sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.



Zinda Ho Tum

Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum

Hawa ke jhokon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya samaa dekhiye

Jo apni aankhon mein hayraniyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum

No comments: